Posts

Ab hum dono

Ab hum dono hisaab mangne lage the. Ek dusre se milne ka waqt mangne lage the. Chahat abhi hamari khatam to nhi huyi thi. Par ab hum chahne ki wajah mangne lage the. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Bas 4 din hi to

Bas 4 din hi to the hamari sagai me. Us khubsurat khuda ki jodi banai me. Bo chali gyi thi us din kisi apne aashiq ke sath. Orr mujhe chor gyi thi zindagi bhar ki judai me. #danishsaifi06 #danishsaifi #heartbroken

Rakhlu dusmani kayam

Rakhlu dusmani kayam ya karlu ishq phir tumse. Bahi purani si baate or bahi purane se kisse. Dusmani rahi phir bhi yaad to aaoge hi tum. Chalo rakhte hai zindagi bhar ka sath phir tumse. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Mai ruth gaya tha

Mai ruth gaya tha usse par baat kuch bhi na thi. Roz ki tarah karne ko usse baat kuch bhi na thi. Mai chup tha us waqt jab kuch bol rahi thi bo. Jab aayi meri baari to mere pass baat kuch bhi na thi. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Fursat mile to

Fursat mile to padh lena kabhi. In dino bas tumhe hi likh raha hu mai. #danishsaifi06

Mujhse Behtar

Mujhse Behtar ki talash me nikla tha bo. Uske bapas aate aate hum bhi na mile use. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Hakikat me ab

Hakikat me ab zarurat nahi rahi. Hamare darmiyan ab mohabbat nahi rahi. Hum sajde to karte hai din raat ishq ke. Par un sajdo me ab ibadat nahi rahi. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Likhna hi kya

Likhna hi kya hai ab jab sab khatam ho gya, Kal tak jo mera tha  bo ab or kisi ka ho gya. #danishsaifi06

Zindagi me shayar

Zindagi me shayar banne ke liye or kya chahiye. Ek humsafar bo bhi bilkul bewafa chahiye. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Waqt hai pass jiske

Waqt hai pass jiske bo bewaqt sa lagta hai. Ab hume zindagi ka har hissa sakt sa lagta hai. Jo har pal sath tha zindagi me hamare. Bo insaan ab hume humse Juda  sa lagta hai. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Din hua or phir raat hui

Din hua or phir raat hui. Kai dafa bss yhi baat hui. Use na aayi kabhi yaad hamari. Zindagi me na phir hamari mulakat hui. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Unhe ho na ho

Unhe ho na ho par hume ehsas to jarur hoga. Jab bo pass hokar bhi humse bahut door hoga. Dil to chahega ki baat kar lu usse ek baar or. Par ye dil bhi us waqt bahut majboor hoga. #danishsaifi06 #danish6022

Bewafa na sahi

Bewafa na sahi hum tujhe matlabi to kahenge, Jo chorr gaya mazdhar me bo humsafar to kahenge, Tu aayega ek din mere pass lotkar to dekhna, Hum tujhe us din ajnabi bhi kahenge. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Khud se karun

Khud se karun ya phir khuda se karun, Tujhse na karun shikayat to phir kisse karun.  #danishsaifi06 #danishsaifi #loveqoutes

Samjhaya to bahut

Samjhaya to bahut use magar samajh na aaya aajtak, Badalna bhi chaha use magar badal na paya aajtak, Yakeen hai itna usper jitna khu par bhi nahi hai, Par chahta hu kya mai bo samajh na paya aajtak. # Mere Alfaz (Danish)

Zindagi kat to jati

Zindagi kat to jati hai sabki magar kuch reh jata hai. Bo uska akhri sans par apno ko dekhna kuch keh jata hai. Sochta to hai bo ke mil jaye kuch pal orr mujhe apno ke sath. Waqt hai hi aisa ki pal pal me bo pal bhi nikal jata hai. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Bura waqt har

Bura waqt har baar burai to nahi lata, Dikh jati hai Sachchai jo aksar chup rahi hoti hai. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari

Abhi tuti bhi

Abhi tuti bhi nahi thi ummid meri unse bichadne ke baad....2 Ke bo guzre samne se usi waqt kisi or ke sath.. #danishsaifi06 #danishsaifi #loveshayari